kumar vishwas के 60+ बेहतरीन मुक्तक
[Sonu Nigam] Azaadon parwaana bola [Kumar Vishwas] Angrezon ke karkhane mein Abhi woh goli nahi dhali Jo mujhe giraftaar kar sake Bharat ki fazaaon ko sada yaad rahunga Azaad tha, Azaad hoon, Azaad rahunga! Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki Usne jajbaat ki aukaat jara kam aanki Wo farista keh kar mujhe jaleel karta raha Mai insaan hoon, meri jaat jara kam aanki Ek do din me wo ikraar kaha aayega Har subah ek hi akhbaar kaha aayega Aaj bandha hai jo inn baaton me to bahal jayenge Roj inn baahon ka tyohaar kaha aayega Jims ka aakhiri mehmaan bana baitha hoon Ek ummid ka unvaan bana baitha hoon Wo kahan hai ye hawaon ko bhi maloom hai magar Ek bas mai hoon jo anjaan bana baitha hoon Kitni duniya hai mujhe zindagi dene wali Aur ek khwab hai tera ki jo mar jata hai Khud ko tarteeb se jodun to kaha se jodun Meri mitti me jo tu hai ki bikhar jata hai Use yakeen tha khud pe ki bhool jayega, Humein bhi dil pe bharosa tha, yaad rakhe hain Na pane ki khushi hai kuch, na khone ka hi kuch gam hai, ye daulat aur shohrat sirf kuch jakhmo ka marham hai, ajab si kasmkash hai roj jeene me, roj marne me, mukkamal zindagi to hai magar poori se kuch kam hai.